कुछ नात ऐसी होती है जिन्हें सुनकर आँखों यादें मुहम्मदी में अपने आप गीली हो जाती है ये जो विडियो नीचे आप देख रहे है इसमें एक नाबीना लड़की हुज़ूर-ए-अकरम से अपनी मुहब्बत की पेशकश कर रही है. नात शरीफ के बोल कुछ यूं है की
‘मैं तो खुद उनके दर का गदा हूँ,
अपने आका को मैं नज़र क्या दूं.
चूँकि लड़की ब्लाइंड है है इसीलिए नात के आगे वाले शेर दिल को चीरते हुए निकल जाते है वो कुछ यूं है
अब तो आँखों में भी कुछ नही है
वर्ना क़दमों में आँखे बिछा दूं
नात शरीफ सुने और कमेंट बॉक्स में अपने इश्क-ए-मुहम्मदी का इज़हार करे

 

  • Main to khud Unke dar ka gada hoon,
  • Apne AQA ko main nazr kya doon.
  • Ab to aankhon mein bhi kuchh nahin hai,
  • Varna qadmon mein aankhein bichha doon.

Aane waali hai unki sawari,
Phool naaton ke ghar ghar saja doon.
Mere ghar mein andhera bohot hai,
Apni palkon pe shamme jala doon.
Rauza-e-paak pesh-e-nazar hai,
Saamne mere AQA ka dar hai.
Mujhko kya kuchh nazar aa raha hai,
Tumko lafzon mein kaise bata doon.
 
Mere aansu bahut kheemti hain,
Inse waabasta hai unki yaadein.
Inki manzil hai khak-e-madeena,
Ye gohar yun hi kaise luta doon.
 
Main faqat Aap ko jaanta hoon,
Aur usi dar ko pehchanta hoon.
Is andhere mein kisko pukaroon,
Aap farma’aein kisko sada doon.
 
Qaafilay jaa rahe hain Madeene,
Aur hasrat se main tak raha hoon.
Ya lipat jaoon qadmon se unke,
Ya qaza ko main apni sada doon.
 
Meri bakhshish ka saamaan yahi hai,
Aur dil ka bhi armaan yahi hai.
Ek din Unki khidmat mein jaakar,
Unki naatein unhi ko suna doon.
 
Mujhko IQBAAL nisbat hai unse,
Jinka har lafz jaan-e-sukoon hai.
Main jahaan naat apni suna doon,
Saari mehfil ki mehfil jaga doon.

Leave a comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *